Najd-e-wahshat me wo damsaaz
Ghazaali aNkhaiN
Roshni deti hoi
raat si kali aNkhhaiN

Waqif-e-Gham
mutabassum
mutakallum
Khaamosh
Tum ne dekhi haiN kahiN aisi nirali aNkhaiN?

Dekh ab chashm-e-tasawwur se unhaiN dekh
Ae dil...
Jo haqeeqi thi
hoiN ab wo Khayaali aNkhaiN

TooTty jaty haiN phr zabt k bandhan saary
Phr ulaTny ko haiN ashkoN ki pyali aNkhaiN

Phr kahy deti haiN ehwaal-e-Gham-o-dard-e-hayat
Garchy ham ne thi bohat dair
sambhali aNkhaiN

Shaam-e-furqat k sambhaly hue palkoN pe dye
Saal bhar ab to manaati haiN diwali aNkhaiN

Subh-e-umeed ki soorat
wo farozan se chiraGh
Laaiye DhoND k
phr aisi jamali aNkhaiN