Ik Hunar Tha
KamaaL Tha
Kya Tha
Mujh Me Tera JamaL Tha
Kya Tha

Tere Jaany Pe Ab K Kuch Na Kaha
DiL Me Darr Tha
MaLaaL Tha
Kya Tha

Barq Ne Mujh Ko Kr Dya Roshan
Tera Aks-E-JaMaaL Tha
Kya Tha

Hum Tak Aya To Mehar-E-Lutf-O-Karam
Tera Waqt-e-ZawaL Tha
Kya Tha

Jis Ne Teh Se Mujhe Uchaal Diya
Doobny Ka Khayaal Tha
Kya Tha

Jis Pe DiL Saary Ehd BhooL Gya
BhooLny Ka SawaaL Tha
Kya Tha