Kabi qurbat k lamhon me thikana bhol jaty hain
Kabi furqat ka teri hum
fasana bhol jaty hain

Sitam hy ye mohabbat me
tum jisko is qadar chaho
usi ki arzo me hum
zamana bhol jaty hain

Chupa kr beth jaty hain
naseebon ka diya zaiwar
Kabi tujhko
kabi khud ko
dikhana bhol jaty hain

Bus apni zaat me kho kr
apna hi zikr krna
Ksi doojy ka koi gham
uthana bhol jaty hain

Ser-e-mehraab jalty hon
chiragh-e-gham andhairon me
Hum apne ansoun ko phr
dabana bhol jaty hain

Shuro jo ho wafa k naam pr
hum aisy rishty ko
Khatam kr k wafaon ka
zamana bhol jaty hain

Tumhari arzo me hum
hoe ruswa zamany me
Ye marg-e-jan se pehle
batana bhol jaty hain

Shokat yaad rakhty hain
hum apne dil ki haalat ko
Mgr apni khataon ko
dikhana bhol jaty hain