mere lye soog-waar rehna
udaas rehna
khushi mily b to dard sehna
udaas rehna

sajy ga tujh pe ye maatmi pairahan ghazab ka
khud apne kajal k sath behna
udaas rehna

tere tabassum ka sakht dushman hy ik zamana
koi rulaye to phir na kehna
udaas rehna

nai dulhan ko bicharty waqt wo keh gya Yaaro
yehi udasi hy tera gehna
udaas rehna
udaas rehna