Ye ab khula hai k koi b
manzar mera na tha
MaiN jis me reh raha tha
wohi ghar mera na tha

MaiN jis ko ek umr sambhaly phira kiya
MiTTi bata rahi hai
wo paikar mera na tha

Mooj-e-hawa-e-shehr-e-muqaddar jawab dy
Darya mere na thy
k samandar mera na tha

Sab log apne apne qabeeloN k sath thy
Ek maiN hi tha k koi b
lashkar mera na tha